Hadeesh

Thursday, December 8, 2011

******WUZOO KA BAYAN******

Huzoor-E-Akram sallallahu alayhi
wasallam ne irshad farmaya:
Qiyamat ke din meri ummat is
halat me bulayi jayegi ki unke
muh aur hath aasare wuzoo se
chamakte honge to jisse ho sake chamak jyada kare
(Bukhari sharif, Muslim sharif) Jo shaks sakht sardi me kamil
wuzoo kare uske liye dugna
sawab he
(Tibrani sharif) Jo shaks wuzoo par wuzoo kare
uske liye 10 nekiya likhi jayengi
(Tirmizi sharif) Wuzoo Ke Faraiz:
1. Muh dho lena
2. Kuhniyo samet dono hath 1
bar dhulna
3. Sar par masah karna
4. Dono pau gatto samet 1 bar dhulna
(Qanoon-E-Shariat) Wuzoo ke Makruhat
1. Aurat ke gusal ya wuzoo ke
bache pani se wuzoo karna
2. Najis jagah wuzoo ka pani
girana
3. Masjid ke andar wuzoo karna 4. Wuzoo ke pani ke katre wuzoo
ke bartan me tapkana
5. Kibla ki taraf kulli ka pani ya
Nak ya Khakhar ya Thuk dalna
6. Be jarurat duniya ki bate karna
7. Jyada pani kharch karna 8. Itna kam pani kharch karna ki
sunnate ada na ho
9. Ek hath se muh dhona
10. Muh par pani marna
11. Wuzoo ke katro ko kapde ya
masjid me tapakne dena 12. Wuzoo ki kisi sunnat ko chod
dena
(Qanoon-E-Shariat) Wuzoo todnewali chize:
1. Dukhti aankh se jo pani ya
kichad behta he usse wuzoo tut
jata he aur wah najis bhi hai jis
jagah lag jaye uska pak karna
jaruri he 2. Namaz me itni aawaz re hasna
ki khud usne suna paswalo ne na
suna to wuzoo na tuta magar
namaz tut gayi
3. Agar muskuraya yani dant
nikale aur aawaz bilkul na nikali to isse na wuzoo tuta na namaz
4. Jo rutoobat aadmi ke badan se
nikale aur wuzoo na tode wah
najis nahi
jaise wah khoon jo behkar na
nikale ya thodi kay jo muh bhar na ho wo pak he
5. Ral,Thuk,Pasina,Mail pak he
Yah chize badan ya kapade me
lagi ho to namaz ho jayegi
6. Jo aansu rone me nikalte he
unse wuzoo aur namaz nahi tutti 7. Ghutna ya satar khulne
se,Apna ya dusre ka satar
dekhne se ya chune se wuzoo
nahi tutta
8. Dudh pite bache ne kay ki agar
wah muh bhar he to Najis he Dirham se jyada jis chiz ko lag
jaye napak kar dega
9. Wuzoo ke bich wuzoo tut gaya
fir se wuzoo kare
Agar chullu me pani liya fir hawa
nikali yah pani bekar ho gaya usse koi hissa na dhoye
(Qanoon-E-Shariat
Hissa:1,Safa:41)

No comments: