Hadeesh

Wednesday, December 7, 2011

***MUHAMMAD KI MUHABBAT***

Sama sakti hai kion kar hub duniya ki
hawa dil mein
Basa ho jab k naksh-e-hub mehboob-e
khuda dil mein Muhammad ki muhabat deen-e-haq ki
shart-e-awwal hai
Esi mein ho aghar khaami tu sub kuch
na mukamal hai Muhammad ki ghulami hai sanad azad
hone ki
Khuda k daman-e-tuheed mein abad
hone ki Muhammad ki muhabat aan-e-milat
shaan-e-milat hai
Muhammad ki muhabat rooh-e-milat
jan-e-milat hai Muhammad ki muhabat khoon k
rishton se bala hai
Ye rishta duniyavee qanoon k rishton
se bala hai Muhammad hai mita-e aalam-e aijaad se
piyara
Pedar, madar, beradar, maal, jaan
aulaad se piyara Ye hi jazba tha unn mardan-e-ghairat
mundh par tari
Dekhayee jin k haathon haq ne batal
ko nighun sari

No comments: