Hadeesh

Saturday, January 19, 2013

IS DUNYAN{QAINAT} ME SABSE PAHLE ALLAH TALA NE HMARE NABI KE NOOR KO PAIDA KIYA

Hadeese Qudsi : Lolak lama khalaqtul ardi wal aflak. ALLAH ta’ala farmata hai : Aye mehboob, Agar tujhe paida karna maqsood na hota to main zameen aur aasmano ko paida na karta. Hamare nabi sallallahu alaihi wasallam ka martaba itna aala aur afzal hai ke ALLAH ta'ala ne sabse pehle Noore mustafa ko banaya aur sari kainat ko unke liye hi banaya. ********** Sallallah jane aalam tere naaz uthae Allah ne Tere liye hi aye pyare nabi kaunain banae Allah ne. Ma ajmalaka teri surat hai Ma ahsanaka teri sirat hai Ma akmalaka teri azmat hai Wa rafa’ana laka zikrak kehke tere rutbe badhaye ALLAH ne. ********** Jab ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alihi wasallam ka zikr buland kar raha hai to Mo’min ko chahiye ke Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ka zikr karta rahe, naat sharif padhta rahe, Duroodo salam padhta rahe Aur saath me unke Ahle bait aur Ashaba aur Aashiqane rasool ka bhi zikr karta rahe. In rehmat wale dino me Milad ki mehfilo me bhi aur Juloos me shamil hokar bhi.

No comments: