Hadeesh

Tuesday, March 6, 2012

AHLE HADEES NAAM KI HAQIQAT

molvi islamail dahelvi wahabi ne
sabse pehle apni wahabi jam'at ka naam mohammadi rakha tha musalmano ne kehna shuru krdia k waqayi
ye abdul wahaab najdi k maanne wale hai
isi wajah se inka naam mohammadihai
wahabi hazraat ne is nisbat ko
chhipane k lie apna dusra naam mubah'hedeen rakhlia fir bhi
wahabiyo ko sukun nahi mila fir
nazeer husain dahelvi ki sarkardagi me
molvi mohammd husain batalvi ne apne maherbaan sarkaar se darkhwast ki k musalmanane
hind aap k is khud kasta najdi podhe
ko wahabi kehte hai unhe
Qanuni taur par is naam se
roka jae aur hamari jam'at ka naam
sarkari taur par ahle hadees Rakh dia jae Goverment ne jawab dia
profesar mohammd ayyub Qadri k
lafzo me unhone molvi mohammd husain batalvi ne arakine jam'at
ahlehadees ki ek dastakhati darkhwast leftent goverment panjab
k zarie se hind sarkar ki khidmat me
rawaana ki is darkhwast par shamsul ulema
miyan nazeer husain k dastakhat the
governer panjab ne wo darkhwast
apni
tayedi
tehreer k sath goverment of india ko bhej di isko Manzuri aa gayi k
ayenda wahabi ki jagah ahlehadees naam istemaal kia jae
in wahabiyo ka naam ahlehadees Rakh dia gaya
is tarha goverment madrad ki tarafse 15 agust 1888 ko bazire khat no.127 goverment of bangal ki taraf se 4 march 1890 ko bazire khat no.156 governe u.p ki taraf se 20 july1888 khat no.386 goverment mumbai ki janib se 14 agust 1888 khat no.7320
is amr ki jankari molvi mohammad husail ko mili...!!!
ye hai wahabi hazraat k ahlehadees hone ki kul kayenaat yechor darwazah musalmano ko
2 tarah dhoka dene ki khatir
banaya gaya tha islie k musalmano ko yaqeen ho jae
k ye log hadees se bahut
lagao Rakhne ki wajah se
khudko Ahlehadees kehte hy
Ye bhi aam istemaal hota raha hy
lihaza usse musalmano ko
dhoka dena asaan ho jaega
ye hai in hazraat k chhal me bal,,,
Hadees: ISLAMI SHARIAT me ahlehades us shakhs ko kaha jaata hai jise hazaro lakhon
hadese yaad hon khud padho k
imaam tirmizi
ne ahle hadees kisko kaha hai
(Tirmizi shareef 1/93)
SAWAL: wahabi kehte hai k
hamara naam ahle hadees sahaba kzamane se h to fir hamen batlao k fir tumhe apna naam badalne ki zrurat kyu padi,
kya tumhare pass koi aise
hadees he jisme aam musalmano
ki jam'at ko ahlehadees kaha gaya ho
ya nabiepaak ne khud ye
farmaya ho k tum sab ahle hadees ho.???

No comments: