Hadeesh

Thursday, December 8, 2011

***Sunnats From Faizan-E- Sunnat***

1. Har naik aur jaiz kam Bismillah
padhkar shuru karna chahiye
Albatta Haram wa Najaiz kamse
kalb Bismillah Sharif hargiz na
padhi jaye 2. Jab kisi Musalman Bhai se
Mulakat ho to unhe Salam karna
Sunnat hai 3. Musafah is tarha Sunnat hai jab
do Islami Bhai aapas me Mulakat
kare to pehle Salam Kare Phir
Musafah Kare 4. Musafah karte waqt Sunnat ye
hai ki Hath me Rumal wagera na ho,
Dono Hath khali ho aur Hatheli se
Hatheli Milni chaiye 5. Muskurakar Aur Khanda peshani
se Baat Karna Sunnat hai 6. Chilla chilla kar bat karna jaisa ki
aaj kal Be Taqallufi me Dost aapas
me karte hai Khilaf-E-Sunnat Hai 7. Chink aane par "Alhamdulillah"
kehna Sunnat Hai
Sunnewale par wajib hai ki Fauran
"Yarahmakallah" kahe. Aur itni
aawaz me kahe ki chinknewala
khud sunle. Agar jawab me takhir kardi to gunahgar hoga. Aur sirf
jawab denese Gunah Muaaf nahi
hoga Tauba bhi karni hogi
(Bahar-E-Shariat) 8. Kurate me Sunnat ye hai ke
Daman ki Lambai Aadhi pindli tak
ho aur Aastin ki Lambai Jyada se
jyada Ungliyo Ke Pore tak aur
chaudai Ek Balisht Ho 9. Tahband bhandhna Sunnat Hai
Pajama pehenna bhi jaiz hai ki
Sarkar-E-Madina Sallallaho Alayhi
Wasallam ne pasand farmaya hai
Aur Sahaba-E-Kiram ne pehna bhi
hai.

No comments: