Hadeesh

Thursday, March 8, 2012

BHEDIYE KI GAWAHI

*************** *************** **
BHEDIYE KI GAWAHI
Madina Munawwara Ke Kisi Makaam Par
Ek Charwaha Apni Bakriya Chara Raha
Tha Ki Achanak Ek Bhediya Aaya Aur
Bakriya Ke Rewad Me Ghuskar Ek Bakri Ka Shikaar Le Bhaaga.
Charwahe Ne Dekha To Usne Bhediye
Ka
Picha Kara Aur Usse Bakri Aazad Kar Di.
Bhediye Ne Jab Dekha Ki Mera Shikar
Mujhse Cheen Liya Gaya Hai To Ek Tile ke Paas Chadkar Ba-zabane Fasiha
Kahne Laga:
Miya Charwahe!
Allah Ne Mujhe Rizk Diya Tha Magar
Apsos !Ki Tune Mujhse Cheen Liya.
Charwahe Ne Jab Ek Bhediye Ko Kalam Karte Huwe Dekha To Hairaan Hokar
Bola:
Taujub Hai Ki Ek Bhediya Bhi Kalaam
Karta Hai.Bhediye Phir Kalam Kiya Aur
Kaha:
Isse Bhi Taujub Wali Baat To Ye Hai Ki Madina Shareef Me Ek Aisa Wajud
Maujud Hai Jo Tumhare Jo Kuch Ho
Chuka Hai Aur jo Kuch Aainda
Honewala
Hai Un Sab Agli Pichli Baaton Ki Khabar
Deta Hai Magar Tum Us Par Imaan Nahi Laate.
Charwahe (Jo Yahudi Tha)Bhediye Ke
Is
Gawahi Sunkar Bada Mutaaseer Huwa
Aur Bargahe Risalat Me Hazeer Hokar
Imaan Layaa. ~~~~~~MISHKAAT SHAREEF,SAFA
533)~~~~~~
~~~~~
SABAK:
~~~~~
Ek Jaanwar Bhi Janta Hai Aur Manta Hai Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)
Ko.Magar Ek Baraye Naam Insaan Bhi
Hai Jo Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa
sallam) Ke Liye Deewar ke Piche Ka Ilm
Bhi Tasleem Nahi Karte.
************************ Apne Maula ki hai bas Shaan Azeem,
Jaanwar bhi karein Jinki Taazeem
Sang(patthar) karte hain Adab se
Tasleem, Ped Sajde mein Sajde mein
Gira Karte Hain

No comments: