Hadeesh

Tuesday, March 6, 2012

HAQIQATE WAHABIYA part-2

ab hadiso ki ye chhant k kaunsi hadees mansookh he kaunsa hukm kaunsi hadees
huzur k khasais
mese he kaunsi sabki itteba k lie
kaunsi fail sharif iqteda k lie he kon nahi kis farman ka kya
mansha he
kis hadees se
mas'ala-e shariat sabit he aur kaunsi daleel kaun iqteza ye
sabkuch imaam
mujtahid hi bata sakta he
hum jaisi abaam wahan tak
nahi pahunch sakti jaise Quran par amal krana muhaddis ka kaam he
isi tarha hadees par amal
krana imaam mujtahid ka kaam he yun samjho k hadees sharif
rab tak pahunchne
ka rasta he
aur imaam mujtahid us raste ka noor hai
bager
imaam mujtahid
huzur ki sunnaton par amal krna
namumkin he
isilie ulema farmate he bager mujtahid
quran wa hadees gumrahi ka bayes he rab ta'ala quran me farmata he
"Allah is quran k zariye bahut so ko gumrah bhi kar deta he
Surah Baqara/26
jhagdalu isilie Gumrah he k wo Quran bager hadees k noor k samajhna
chahte he barahe rast rabtak pahunchna chahte hai
wahabi
gair muqallid isilie raste se bhatke hue he k ye hadees ko bager ilm ki roshni aur bager mujtahid
k noor k samajhna
chahte hain muqallid ahle sunnat ka insha allah
beda paar he
k unke pass
kitabullah bhi he aur sunnate rasullullah bhi aur siraje ummat imaam mujtahid ka noor bhi hy
khayal rakho Quran sunnat ka samandar hum
muqallid bhi aur wahabi bhi lekim
hum muqallid ki jihaaz k zariye jiska nakhiz imaame azam
abu hanifa hai
unki zimmedari par safar kr rahe hai
gair muqallid wahabi khud apni
zimmedari par us samandar min chhalang laga rahe he
insha allah muqallid ka beda paar rahe aur wahabi ka anjam bura hai,
akhir me
hum ahle hadees hazraat se puchhna
chahte hai
k islam ki pehli
ibaadat namaz
he baraye
maherwani aap sahih ahadees
ki roshni me bata den ki
farz
wajib
sunnat
mustahab
makrooh tehrimi
aur haraam me
kya farq he
aur namaz me kitne farz
he
kitne wajib
kitni sunnaten
kitne mustahebat
kitne makroohe tehrimi tanzihi he
aur kitne haraam hain,
insha allah
qayamat tak
ye tamam masail
ye hazraat hadees se
nahi bata sakte
halanki din raat un masail
se basta hota he to dosto zidd kyun krte ho
taqleed ikhtiyar karo jisme deen wadunia ki bhalayi he
khuda ka sukr he ki hum ahle sunnat hai
ki hum ahle muqallid hai aur haqparhain
hum apki duaon k talabgar hain hamare liye
dua kren
ye taleem dusre islami bhaiyon tak pahunchyen allah apko iska ajar ataa karega
(ameen)
is taleem ko
apne
Mobile
par pane k lie
type:
JOIN SARWARNOORI
and sent
9223492234
567678
9219592195 par

No comments: