Hadeesh

Friday, March 2, 2012

**Musalmano Wahabiyon SE Bacho**

HAQIQATE WAHABIYA part-2 ab hadiso ki ye chhant k kaunsi hadees
mansookh he kaunsa hukm kaunsi
hadees
huzur k khasais
mese he kaunsi sabki itteba k lie
kaunsi fail sharif iqteda k lie he kon nahi kis farman ka kya
mansha he
kis hadees se
mas'ala-e shariat sabit he aur kaunsi
daleel kaun iqteza ye
sabkuch imaam mujtahid hi bata sakta he
hum jaisi abaam wahan tak
nahi pahunch sakti jaise Quran par
amal krana muhaddis ka kaam he
isi tarha hadees par amal
krana imaam mujtahid ka kaam he yun samjho k hadees sharif
rab tak pahunchne
ka rasta he
aur imaam mujtahid us raste ka noor
hai
bager imaam mujtahid
huzur ki sunnaton par amal krna
namumkin he
isilie ulema farmate he bager mujtahid
quran wa hadees gumrahi ka bayes he
rab ta'ala quran me farmata he"Allah is quran k zariye bahut so ko
gumrah bhi kar deta he
Surah Baqara/26 jhagdalu isilie Gumrah he k wo Quran
bager hadees k noor k samajhna
chahte he barahe rast rabtak
pahunchna chahte hai
wahabi
gair muqallid isilie raste se bhatke hue he k ye hadees ko bager ilm ki roshni
aur bager mujtahid
k noor k samajhna
chahte hain muqallid ahle sunnat ka
insha allah
beda paar he k unke pass
kitabullah bhi he aur sunnate
rasullullah bhi aur siraje ummat imaam
mujtahid ka noor bhi hy
khayal rakho Quran sunnat ka
samandar hum muqallid bhi aur wahabi bhi lekim
hum muqallid ki jihaaz k zariye jiska
nakhiz imaame azam
abu hanifa hai
unki zimmedari par safar kr rahe hai
gair muqallid wahabi khud apni zimmedari par us samandar min
chhalang laga rahe he
insha allah muqallid ka beda paar rahe
aur wahabi ka anjam bura hai,
akhir me
hum ahle hadees hazraat se puchhna chahte hai
k islam ki pehli
ibaadat namaz
he baraye
maherwani aap sahih ahadees
ki roshni me bata den ki farz
wajib
sunnat
mustahab
makrooh tehrimi
aur haraam me kya farq he
aur namaz me kitne farz
he
kitne wajib
kitni sunnaten
kitne mustahebat kitne makroohe tehrimi tanzihi he
aur kitne haraam hain,
insha allah
qayamat tak
ye tamam masail
ye hazraat hadees se nahi bata sakte
halanki din raat un masail
se basta hota he to dosto zidd kyun
krte ho
taqleed ikhtiyar karo jisme deen wa
dunia ki bhalayi he khuda ka sukr he ki hum ahle sunnat
hai
ki hum ahle muqallid hai aur haqpar
hain
hum apki duaon k talabgar hain
hamare liye dua kren
ye taleem dusre islami bhaiyon tak
pahunchyen allah apko iska ajar ataa
karega
(ameen) is taleem ko
apne
Mobile
par pane k lie
TYEPE KAREN
{ 1 } JOIN SARWARNOORI
{ 2 } JOIN SDIRFJ
{ 3 } JOIN NAUSHAD_SDIRFJ
AUR SEND KAREN 567678 YA 9219592195 pr

No comments: