Hadeesh

Tuesday, March 6, 2012

SHAHEED MARKAR BHI ZINDA KAISE HOTA HAI

JAB SHAHEED ki rooh ko allah ko pesh
kia jata hE to
allah uspar aisi tajallie noor
karta he k uski rooh ko chamak
tasir aur quwwat ata kr deti hai
aur ye rooh bawajud apne jism se
bahut dur
muqame illi-een me
hoti hai
magar jism ko qabr me sahih salamat rakhti he
jaise suraj
pode(tree) se karodo meel fasle par
hone k bawajud apni tapish aur asar se zamin me pode ko zinda salamat rakhta hai
jab banda
allah k lie
mar jata he to
allah apne deedaro wasaal
aur raza k lie apni jaan
ka
nazrana pesh karne wale us
bande ki rooh ko wo noor,
chamak, tasheer
aur quwwat ataa
farmata
h k karodo suraj bhi uske samne
kam ho jate hai
allah k bando k jism
zamin par rehkar bhi rooh
k faizan se taro tazah
aur salamat rehte hai
yahan
ye baat bhi yaad rakhne
ki h k
jis tarah suraj
ka pode ko roshni pahunchane k lie
pode k andar
hona zaruri nahi h balki
pode ko to sirf
tapish aur roshni ki
zarurat hoti hai suraj
ki nahi,
(falsafa-e-shahadat imaam husain page.27)
ALLAH k darbar me jo
koi ek neki
lata he to uske lie
uska 10 guna sawab hai
(al-anaam 160)
jab allah ne ye usool muqarrar farma
dia k jo ek
neki krta h usey us jaisi
10 nekion ka ajar
ataa kia jata h to
jo shakhs ek jaan
ka nazrana allah ta'ala
ki
bargah me pesh
karta
he to usse behtar 10 jaane
ataa ki jani chahiye aur ek jaan
rakhne wale
agar zinda h to
ek jaan dekar 10 jaane
pane wale
kis tarha murda ho
sakte he
isi lie allah ta'ala ne
farmaya:
"Aur un logo ko jo
allah ki raah
me mare gaye tum(apne gumaan me) murda na
samjho balki wo zinda
he
apne rab k pass aur khate peete hai
(al-imran 169)
allah ki raah me jo shaheed
ho gae he unhe murda
kehna
to dur murda gumaan bhi
na karo kabhi bhool kar
bhi na sochna
k wo mar gae hai
balki
wo zinda hai aur allah ki baagah me rizq(khana) die jate hain,
SHAHADAT ME MOAT KI TAKLEEF CHYUNTI K KATNE K BARABR
allah ta'ala ki
shaheed ko moat k waqt
itni hi taklif hoti he
jitni tum me
kisi ek ko
chyunti k katne se hoti
hai,
(TIRMIZI baabul jihaad)
QURAN me h k jab
yusuf alyhisslam
ka jalwa aurto ne dekha
to phal ki
jagah apne hath kaat lie
(surah yusuf 31)
jab husne
yusuf ka alam ye h k
unhe
apne hath tak katne ki
khabar na hui
to jo banda
us allah ka deedar kar rha ho to
bhla use gardan katne
ka
kya pata chale
shaheed ko
allah ta'ala ki raah me
jaan
dete hue taklif mehsus
na hone
ki wajah ye k banda
waqte shahadat
allah k husn k jalwe
aur
mushahide me garq hota
h uspar ek to kya
hazaro
talwaren chal jae
to bhi use taklif
ka koi ahsas tak na ho,
Jo koi allah aur rasool ki ita'at karta hai
wahi un logo k sath hoga
jinpar allah ne in'aam kia hai
jo ki ambia siddiqeen shaheed aur nek log hai
#Nisaa 69
is ayate karima me
shaheed ko allah k in'aami yafta
bandon me
shamil kiya gaya he aur shohda ko sualeheen par
fazilat di gayi hai
HADIS:
"Shaheed Ka Khoon Girte Hi Bakhsh
Diya Jata Hai, Rooh Nikaalne K Waqthi JANNAT me Uska Thikana Dikha Diya Jata Hai"
>MISHKAT

No comments: