Hadeesh

Tuesday, March 6, 2012

YAUME AASHURA

[HADITH]- ASHURA ka ROZA
rakho aur Is'mE YahudiYo ki Mukhalifat karo
Is'se qabl Ya Baad 1 diN ka
ROZA rakho
[Musnad-Imam-AHMED; V-1 p:518
HADEES:
"Mujhe Allah Par Guman Hai Ki
AASHURA(10vi Muharram) Ka Roza Ek Saal Qabl (pehle)Ke Gunah Mita Deta Hai"
{muslim Hadis-1162}
Guzarish:
9, 10 Muharram Ko Ziyada Se Ziyada Nek Kaam Karke Imame Hasan O Husain Radhiallahu anhu
Ko khiraje
Aqidat Pesh Karen
Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya Aashura Ka Roza Rakho Aur Iske Saath 9 Ya 11 Tareekh Ka Roza Rakhlo Aur Yahood Se Mushabihat Na Karo (muslim)
Huzoore Pak ne farmaya jisne Ashura (10 Muharram) k din roza rakha usey
dojakh ki aag mas na karegi
(Anisul Waizin 221)
Jo Aashura K Din Gusl Karega Insha Allah Wo Tamam Saal Bimariyon Se Mahfuz Rahega (Ruhul Bayan)
Note:10 Muharram Ko Aashura Kehte Hain,
10 Muharramu Aashura K Din
AYYUB ALAYHIS SALAM Ki Taklif Raf'a Ki Gai
aur
YUSUF ALAYHIS SALAM Gehre Kunwe"Se Nikale Gaye
>MUQASHAFATUL QULUB
10 Muharram Aashura Ke Din
YUNUS ALAYHIS SALAM Machhli K Pet"Se Nikale Gaye
Aur
YAQOOB ALAIHIS SALAAM Ki Binaai Ka Zu'af Door Hua
>M.QULUB
10 Muharramul Haram Aashura K Din
SULEMAAN ALYHISSALAM Ko Mulke Azim Ata Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
NOOH ALAYHIS SALAM Ki Kashti Kuhe Judi Par Thahri.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
10 Muharramul Haram Aashura K Din
MOOSA ALAYHIS SALAM Or Aap Ki Ummat Ko Najat Mili Or Fir'on Apni Qaom Samet Garaq Hua
>MUQASHAFATUL Q. S;311
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
ISAA ALAYHIS SALAM Paida Kiye Gaye,
Isi Din Unhe Aasmano Ki Taraf Uthaya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
10 Muharramul Haram Aashura K Roz AADAM ALAYHIS SALAM Ko Paida Kiya Gaya,
Isi Din Unhe Jannat Me Dakhil Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311

No comments: